Muhabbat ka sitara ho ga
Posted by admin on 14 February, 2009
1 comment so far
Uss ki aankhon mein muhabbat ka sitara ho ga
Ik din aaye ga woh shakhs humara ho ga
Jis kay honay se meri saans chalaa karti thi
Kis tarha uss kay baghair apna guzara ho ga
Ye achanak jo ujala sa hua jata hai
Dil ne chupke say tera naam pukara hoga..
Ishq karna hai to din raat ussay sochna hai
Aur kuchh zehan mein aaya to khasaara ho ga
Kaun rota hai yahan raat kay sanaatton mein
Meray jaisa hi koi hijr ka maara ho ga
Jo meri rooh mein baadal se garajtay hain
Uss ne seenay mein koi dard utaara ho ga
Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga uss ko
Meray Maulaa ka Waseeh jun hi ishaara ho ga…!!!
Email This Post

(3 votes, average: 4.33 out of 5)
One Comment on “Muhabbat ka sitara ho ga”
I THINK ITS VERY GOOD POETRY