|
Sarakti jaye hai rukh se naqab ahista ahista
nikla aa raha hai aftab ahista ahista
Jawaan hone lage jab woh to humse kar liya parda
haya yakhlaqt aayi aur shabab ahista ahista
Shab-e-furqat ka jaga hoon farishton ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisaab ahista ahista
Woh bedardi se sar kate amir aur main kahun unse
huzur ahista ahista janab ahista ahista
|