Pindiclub Selected Poetry

Naye Dhang hain ab, zamaane naye hain
na aane ke un ke, bahaane naye hain

Nahin kuch hai badla riwaaj-e-muhabbat
hai qissa wahi par, diwaane naye hain

Nigaahon ki aadat wahi hai puraani
Nishaana wahi par, nishaane naye hain

Agar aik bichda nasheman to kya gham
banaaye ham ne aashiyaane naye hain

Badal kar qabaa-e-kuhan sochte hain
hue haal apne puraane naye hain

Rihaa daur-e-maa'zi ki yaadon se ho kar
anis aaj likhte fasaane naye hain !

 

 
<<Back