|
Kaash main teray hasiin haath ka kangan hota
to baray piyar se chaoo se baray maan k saath
apni nazuk si kalai main charati mujh ko
or be-tabi se furkat k khizaan lamhoon main
to kisi sooch main dobi jo ghomati mujh ko
main teray haath ki khoshboo se mehak sa jata
jub kabhee mood main aa kar mujhay choma karti
teray hontoon ki main hidat se dahak sa jata
raat ko jub nindoon ke safar per jati
mar marin haath ka ik takia banaya kartee
main teray kan se lag kar kai batain karta
teri zolfoon ko teray gal ko choma karta
jub bhee too band quba kholnay lagti janann
apni ankhoon ko teray husn se khizah karta
mujh ko be tab sa rakhta teri chahat ka nashah
main teri rooh k gulshan main mehakta rehta
main teray jism k aangan main khanakta rehta
kuch nahi to yeh be-naaam sa bandhan hota
kash main teray haseen haath ka kangan hota....
|