|
Meri aankhon ko aankhon ka sahara kon de ga
samandar ko samandar main kinara kon de ga
meray chehray ko chehra kab inayat kar rahay ho
tumhain meray siwa chehra tumhara kon de ga
mohabbat neela mausum ban ke aa jaey gi ik din
gulabi titliyon ko phir sahara kon de ga
meri awaz main awaz kis ki goonjti hai
meray geeton ko geeton ka ishra kon de ga
baddun main aik sehra jal raha hai bujh raha hai
meray daryaoon ko qaisar kinara kon de ga |