|
Tum Meri Aankh ke Tevar
na Bhulaa Paaoge
anKahi Baat ko Samajho ge to Yaad Aaongaa
Isii Andaaz main Hotey Thay Mukhaatib Mujh Se
Khat kisi aur ko Likho gay to Yaad Aaongaa
Sard Raaton ke Mehakte howay San-naaton mein
Jab kisii Phool ko Choomo gay to Yaad Aaongaa
Ab teray Ashk main Honton se Churaa letaa hoon
Haath se Khud inhen Ponchho ge to Yaad Aaongaa
Shaal Pehnaegaa ab kaun December mein Tumhein
Baarishon main kabhi bheego gay to Yaad Aongaa
Aaj to Mehfil-e-Yaaraan pe ho Magaroor bohat
Jab kabhi Toot ke Bikhro gay to Yaad Aaongaa
Is main Shaamil hai meri Bakht ki Taareeki bhi
Tum Siyaah Rang jo Pahno gay to Yaad Aaongaa
|