|
Yaadoon se rishta kal
bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi
hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab
bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj
bhi hai
Tum door huye majboori mein hum toot gaye is doori
mein
Kabhi waqt mile tu aa jaana dil ka darwaaza khula aaj
bhi hai
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil
per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj
bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad
hoi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj
bhi hai
Yeh ashk nahin hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil
karte hain
In aankhoon mein jo kal tak thaa woh chaand sa chehra
aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa
mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj
bhi hai
|