Pindiclub Selected Poetry

Humko kiske gam ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara yeh kahani phir sahi

Dil ke lutne ka sabab pucho na sabke samne
naam aayega tumhara yeh kahani phir sahi

Nafrton ke teer kha kar doston ke shahar mein
humne kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi

Kya batayen pyar ki bazi wafa ki raah mein
kaun jita kaun hara yeh kahni phir sahi
 

 
<<Back